Aasaish (recreation)
Likhta hoon main apna dil behlane ko
jo chipi hain is mein vo baatein batane ko
ke aaj radeef-qafiye aur beher ki fikr na kar
apne mukhtar ka aaj tu zikr na kar
ke aaj bas ik dafa tu sun le mujhe
ke aaj bas roz-e-mahshar ki fikr na kar
ke kuch sawal main ab tujhse karunga
unke mutma'in jawabon ka fikr na kar
Ab kuch aisa bhi na keh ki is dil ko chot pohnche
Magar ab mere behte aansuon ki tu fikr na kar.
Aaj aasman aisa nazar kyun aata hai
ismein tere honton ka rang nazar kyun aata hai
Tu aankhon ke saamne hai to sukoon rehta hai ke tere door hone ka waqt kyun aata hai
Kabhi jhoot kahogi kya mujhse milne ke bahane ik raat karwa chauth ka teeka lagane
kya honton per laaogi yeh pyaar apna
Bas mere honton pe apna noor barsane
yeh batein hoti to humara rishta kehlati
ke ab to yeh sirf baatein hai mera dil behlane
Kehta hoon tujhse Shukria main ab
Seekha bahot tumse is pyar ke bahane
Ik aakhri dafa tumhein kehta hoon main ab
Mohabbat hai tumse yeh meri aakhri saans bhi jaane.
Ab agar kuch bura laga to maaf karna
nafrat ki baatein hon to apne paas rakhna
Yeh baatein humse yun hi ho nhi paati
Bas apne dil mein Zara sa pyaar rakhna
Isi ke saath alvida kehta hai ab Fozan
Chalta hoon duaon mein yaad rakhna.
Tumhare Liye
Apne nhi tumhare liye bana leta hoon
Man behlaane ko bahane bana leta hoon
Tu bast bhi karle is nacheez se kabhi
To ise hi tera pyaar samajh leta hoon.
Chipa
Ik chehre ke piche,
Kya kya chipa kise ma'loom
Ik maidan-e-jung ki tarah
Kya kya saha kise ma'loom
Yeh zindagi lughat-e-pareshaniyon ki tarah
Ismein mein kya dhoondna kise ma'loom
Jeena nhi bas jeene ke liye
Hai mujhe bas yahi ma'loom
Yeh Alfaz
Yeh Alfaz tere dil tak pohonchte,
To kya baat hoti
Ik baar phir se,
Nahi nayi mulaqaat hoti
Yeh nazrein jo teri nazron se milti
To saari dooriyon khatm hoti
Yeh lab jo tere lab se milte
To phir kuch alag hi baat hoti.
Kuch baatein yeh tujhse kehni hain
Mashkook
Kuch baatein yeh tujhse kehni hain
Gar kahoon to kis haq se kahoon
Kuch yeh tujhse poochne hain
Gar poochon to kis haq se poochon
Yeh sawal-o-baatein sab mashkook se hain
Gar haq tujhpe jataon to kis haq se jataon.
Wafir-e-Waqt
Ab lafz hi kahan kuch kehne ko
Ab waqt hi kahan kuch jatane ko
Wafir-e-waqt ka hona bhi fareb tha ik
Ab waqt hi kahan tujhe chahne ko
Dar lagta hai ter saath na hone ko
Ke ab kon aayega mujhe apne aapse bachane ko
Gar sabhi ko koi is tarah bacha leta
Phir kon karta aabaad ik sharabkhane ko
Khatm karde dimaag ke is farebkhane ko
Yeh log kehte baatein kayi dil behlane ko
Uski talash-O-yaad mein waqt Zaya na kar
Ke vo Na aayegi tere is aashiyane ko
Khwaab dekhe the apna ghar basane ko
Apane tifl ko ik acha insaan banane ko
Wafir-e-waqt ka hona fareb tha ik
Ke ab waqt hi kahan tujhe chahne ko
Kuch baatein raqeeb se kehna chahte hain hum
Kuch Baatein
Kuch baatein raqeeb se kehna chahte hain hum
Ke jo phool ulfat ke vo tum ko diya karti hai
Inke khushboo ke Mushtaq hain hum
Yeh jo nazrein tum ko madhosh karti hain
Inke nashe mein choor hain hum
Yeh jo zulf ko uski tum sanwara karte ho
Inke khyaal se hi machal jaate hain hum
Yeh jo lab tum pe inayat karte hain
Inke surkhi ke qayal hain hum
Inayat kahoon ya Zaya kahoon
Inayat
Inayat kahoon ya Zaya kahoon
Jo waqt tujhpe lutaya use ab kya kya kahoon
Karta hoon pyaar tujhse, kya is
Baat ko main ab ik maya kahoon.
Ummeed-e-fareb
Jo tasveer Teri khwaabon mein hai vo is asliyat se kyun nhi milti
Jo jhoot maine khudse kaha hai uski Haqeeqat mujhe kyun nhi dikhti
Ke jis shaakh per lagte the phool chahchahate the parindey kabhi
Kya hua aisa ki is shakhs per ik patti bhi nhi lagti
Thodi ummeed mujhmein abhi baqi hai magar , jisne meri raaton ki neend udayi hai
Per isi ummeed ko takiye tale daba kar so jata hun ki shayad mere pyaar mein kuch qasar ab bhi baqi hai
Kisi roz milo bhi ittefaqan to nazrein na milana mujhse
Ke jo soi thi ummeed kisi roz uski asthiyan hi mere paas ab baqi hai
Dar lagta hai ke meri awaaz un hazaron mein na dab jaaye kahin
Aur meri yaad ik aam khwaab ki tarah hi na reh jaaye kahin
Ke Kaash tu mujhe bhi chah keta meri hi tarah
Jo yeh pyaar in ghazlon mein jhalakta hai vo sirf alfaaz hi na reh jaaye kahin.
Unke jawab ka intezaar hai
Intezaar
Unke jawab ka intezaar hai
Dil mera ab beqarar hai
Ummeedon ki had hogai ab
In mein dard beshumaar hai
Ab sirf unka khumaar hai
Ishq sar per sawar hai
In dooriyon ke kya kehne
Yeh ab bhi barqaraar hai
Ab un per sab madaar hai
Kahan humsa koi badqimaar hai
Saanse thaame baithe hain ab
Ke dum nikalne ka intezaar hai
Chahta hoon ki teri zulf ko ik dafa sawar loon main
Teri in pyari aankhon mein kajal ik dafa laga loon main
Ab aasmaan se utar aao ae habeeb
Ke Aaj chand ko ik dafa saja loon main
Tujhse door ik bejaan samandar sa hoon main
Par tere aks ko khud mein dikhlata hoon main
Jab chaand tairta nazar aata hai na samandar pe
Us manzar ka tasavvur roz karta hoon main
In sitaron ko roz yeh bataya karta hoon main
Ke tujhse ishq beintehaa karta hoon main
Ke agar maut kisi roz le bhi jaaye mujhe
To yeh tujhse keh dein ki mohabbat sirf tujhse hi karta hoon main
Aur tujhe dekhne ka waqt zaya karta hoon main
Yeh shikwah in baadlon se kiya karta hoon main
Yeh mujhse zyada qareeb hain tere
Ke ab badal banne ki tamanna kiya karta hoon main
Aur tumhein paane ki koshish bahot karta hoon main
Gar yeh koshishen nakaam karta hoon main
Mujhe andaza hai ke chaand aur smandar mein doori bahot hai
Magar phir bhi har pal khud mein lehrein uthaaya karta hoon main
In lehron ko saahil se milaya karta hoon main
Per inke shor mein khud hi dab jaya karta hoon main ke is shor ik dhun bhi hai
Gar dil se suno ,to tera naam gungunaya karta hoon main
Kai adhoore khoobsurat nazare bhi dekha karta hoon main
Inhen teri roshni se poora kiya karta hoon main
Aise hi apne saare tasavvuraat poore karta hoon ab
Ke tujhko apni dulhan sa sajaya karta hoon main
Chand Aur Samandar

Comments
Post a Comment